kuch kaam, kuch haalaat aise the,
Kuch zindagi ki tang galiyan,
Jane kitne makaam piche chhut gaye
Khule aasmaan ki khwaish me
Rishton ki gaanthon ka kaste jaana
Tang galiyo ki diwaaron se kandho ka chil jana
Wo Ek ek lahu ka katra mere rishton ki ruh ko mere badan se alag kar raha tha
Pahucha us makkam per akela, Ha akela hee hu
socha sabhi musafir hai mil hee jayenge khule aasman tale
Ab sham ho chali hai aur galiyon me andhera cha gaya hai
Zameen garm hai aur mera lahu bhi sukh chuka hai
Lahu ki papdiyan see jam gayi hai, jin per ab daraarein saaf dikhti hai
Kuch kaam.....
No comments:
Post a Comment